Uski yad ayi hai sanso....!
zara aahista chalo....!
Dharkanon say bi ibadat main khalal parta hai....!
Chamakte taaron mai dhoondhnay kisi apne ko
Chand pagal hai, andheray mai nikal parta hai
Aik deewana musaafir hai mairi aankhon main
Waqt bay waqt thehar jata hai, phir chal parta hai
Apni taabeer kay chakkar mai mera jagta Khuwaab
Roz sooraj ki tarha apne ghar say nikal parta hai
Roz pathar ki himayat mai ghazal likhtay hain
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai
Uski yaad ayi hai sanso....!
Zara aahista chalo....!
Dharkanon say bi ibaadat mai khalal parta hai....!
No comments:
Post a Comment